lekin....
bahut sii baatein chupii hain siine me
lekin kah nahiin paataa huun
bahut kuch karne kii chah hai dil me
lekin kar nahiin paataa huun
udane kii laalsaa hai mere man me
lekin pankh nahiin milte
kaante bahut chune hain haathon se
lekin gulaab nahiin milte
khvaab bahut pade hain sirhaane pe
lekin dekh nahiin paata huun
lafz bahut hain syaahii kii boondon me
lekin likh nahiin paata huun
.................................

0 Comments:
Post a Comment
<< Home