Yaad hai...
उन
[(c)
-----------------------------------------------
un honthon ki chubhan yaad hai
unke gesuon ki mahak yaad hai
mahakati hashi me ghule hue
un lamhon ki kashish yaad hai
unka jaana unke aane jaisa tha
na koi umeed na koi aarzoo thi
banane se pehle jo tut gaye
un rishton ki nami yaad hai
zindagi se na tha koi shiqua
tumne phir bhi jawaab maange
sulajh ke bhi jo ulajh gaye
un sawaalon ki ghutan yaad hai
alfaaz hamaare khaamosh rahe
samajh na paaye vo aankhon se
nazar me unke jo na aa sake
un khyaalon ki koshish yaad hai
[(c) Arvind]

0 Comments:
Post a Comment
<< Home