Ek Lamhaa...
Ek lamhaa...ye koii shaayarii nahiin, ye koii kavitaa nahiin, ye koi chaar laaine nahiin...jo mai liKhne jaa rahaa huun vo shaayad aap sab ke liye kuCh bhii nahiin...Phir bhii liKhne jaa rahaa huun...
ek lamhaa...jise mai jiinaa chaahataa huun...kabhii sirF apne saath...kabhii kissi aise ke saath jo....aur bus yahii.n aa ke ek sawaal saa uTh jaata hai...jiskaa javaab mai aaj taq nahiin de paayaa...vo sawaal jo har dum javaab DhuunDhtaa rehtaa hai k vo kaun hai jiske saath mai vo ek lamhaa guzaaranaa chaahataa huun...
ek lamhaa...mai bhii pareshaan huun, zamaanaa bhii pareshaan hai aur socho to vo ek lamhaa bhii pareshaan hai...Khud ko samJhaa saktaa huun, zamaane se laR saktaa huun par is ek lamhe ko kyaa samJhaaun k mai ise nahiin, mai DhuunDh rahaa huun use jo is jaise kaii lamhe merii zindaGii me le ke aaye...
ek lamhaa...jab mere dil kii baat ise pataa chalii to ye haule se muskuraayaa...maine iskii taraf deKhaa to laGaa kii iskii hansii befizuul nahiin...thoRii der sochaa to laGaa shaayad mai samaJh rahaa huun k ye kyaa kehnaa chaahataa hai...
ek lamhaa...muJhse kehtaa hai k jii le muJhe kyuun kii mai ik pal me Khatm ho jaaunGaa...Phir kyaa tuu kyaa terii chaahat aur kyaa mai...vo, tuu aur mai bus ik yaad ban ke reh jaaynGe...

0 Comments:
Post a Comment
<< Home