Saturday, September 23, 2006

Kyuun?

raat kaa daaman thaame hue
kuch khvaab paidaa hue
kuch se daaman chuuT gayaa
kuch ke armaan puure hue

subah kaa aanchal liye hue
kuch saaye paidaa hue
kuch kaa saahil chuuT gayaa
kuch ke saath kinaare hue

0 Comments:

Post a Comment

<< Home