Monday, December 31, 2007

mujhko kuch yaad nahin

मुझको कुछ याद नहीं
कब सारे मौसम बदले
कब हमारे रास्ते बदले
तुम किस तरफ़ गये
क्यूं हम इस तरफ़ चले
तेरा मिलना भी याद नहीं
तेरा बिछड़ना भी याद नहीं

मुझको कुछ याद नहीं
क्यूं दिन ढला कब रात हुई
क्यूं पीले पत्तों की बरसात हुई
कैसी पहली मुलाक़ात थी
कब प्यार की अख़िरी रात थी
तेरा आना भी याद नहीं
मेरा बुलाना भी याद नहीं

मुझको कुछ याद नहीं
कैसा था रंग तेरी आँखों का
क्या था आधार हमारी बातों का
कौन सी मंज़िल पे तेरा टेरेस था
कौन सी सड़क पे मेरा घर था
दिल की धड़कन भी याद नहीं
साँसों की महक भी याद नहीं

मुझको कुछ याद नहीं
क्यूं बिखरे हैं इतने काग़ज़
क्या तेरे ख़त हैं ये काग़ज़
क्यूं फिर तेरा इन पे नाम नहीं
क्यूं मेरे नाम कोई पैगाम नहीं
तेरा नाम भी याद नहीं
अक्स भी अपना याद नहीं

-------------------------------------------------------

mujhko kuch yaad nahin
kab saare mausam badle
kab hamare raaste badle
tum kis taraf gaye
kyun ham is taraf chale
tera milna bhi yaad nahin
tera bichadnaa bhi yaad nahin

mujhko kuch yaad nahin
kyun din dhalaa kab raat hui
kyun pile patton ki barsaat hui
kaisi pahli mulaqat thi
kab pyaar ki akhiri raat thi
tera aana bhi yaad nahin
mera bulana bhi yaad nahin

mujhko kuch yaad nahin
kaisa tha rang teri aankhon ka
kyaa tha aadhar hamari baaton ka
kaun si manjil pe tera terrace tha
kaun si sadak pe mera ghar tha
dil ki dhadkan bhi yaad nahin
saanson ki mahak bhi yaad nahin

mujhko kuch yaad nahin
kyun bikhre hain itne kagaz
kyaa tere khat hain ye kagaz
kyun phir tera in pe naam nahin
kyun mere naam koi paigaam nahin
tera naam bhi yaad nahin
aks bhi apna yaad nahin

Thursday, December 27, 2007

intezaar

kuch kisse hain kuch kahaniyan hain
halki si hansi hai thodi udaasiyan hain
taron ke libaas me lipti hui raaten hain
peele patton pe boondon ki saugaaten hain
aao bus zara si der ko thahar jao
is hawa ko tumse karni baaten hain