Saturday, September 23, 2006

Kyuun?

raat kaa daaman thaame hue
kuch khvaab paidaa hue
kuch se daaman chuuT gayaa
kuch ke armaan puure hue

subah kaa aanchal liye hue
kuch saaye paidaa hue
kuch kaa saahil chuuT gayaa
kuch ke saath kinaare hue

Ek Lamhaa...

Ek lamhaa...ye koii shaayarii nahiin, ye koii kavitaa nahiin, ye koi chaar laaine nahiin...jo mai liKhne jaa rahaa huun vo shaayad aap sab ke liye kuCh bhii nahiin...Phir bhii liKhne jaa rahaa huun...

ek lamhaa...jise mai jiinaa chaahataa huun...kabhii sirF apne saath...kabhii kissi aise ke saath jo....aur bus yahii.n aa ke ek sawaal saa uTh jaata hai...jiskaa javaab mai aaj taq nahiin de paayaa...vo sawaal jo har dum javaab DhuunDhtaa rehtaa hai k vo kaun hai jiske saath mai vo ek lamhaa guzaaranaa chaahataa huun...

ek lamhaa...mai bhii pareshaan huun, zamaanaa bhii pareshaan hai aur socho to vo ek lamhaa bhii pareshaan hai...Khud ko samJhaa saktaa huun, zamaane se laR saktaa huun par is ek lamhe ko kyaa samJhaaun k mai ise nahiin, mai DhuunDh rahaa huun use jo is jaise kaii lamhe merii zindaGii me le ke aaye...

ek lamhaa...jab mere dil kii baat ise pataa chalii to ye haule se muskuraayaa...maine iskii taraf deKhaa to laGaa kii iskii hansii befizuul nahiin...thoRii der sochaa to laGaa shaayad mai samaJh rahaa huun k ye kyaa kehnaa chaahataa hai...

ek lamhaa...muJhse kehtaa hai k jii le muJhe kyuun kii mai ik pal me Khatm ho jaaunGaa...Phir kyaa tuu kyaa terii chaahat aur kyaa mai...vo, tuu aur mai bus ik yaad ban ke reh jaaynGe...

Tuesday, September 12, 2006

And I'm...A Photo-Thought



Sunday, September 10, 2006

Trishnagii

baat karne ko jii chahtaa hai
aapse milne ko jii chahtaa hai

sapno me aate ho mere magar
chehraa apnaa dikhaate nahiin
khyaalon me mere base ho huzuur
naam kyun apnaa batate nahiin
chupe chupe se rehte ho humse
aapko dekhne ko jii chahtaa hai

baat karne ko jii chahtaa hai
aapse milne ko jii chahtaa hai

seedhiyon ko mere ghar kii
hai intezaar aap hii kaa
jise dhuundhati hain aankhen
vo chehraa hai aap hii kaa
aapkii khusbuu hai saanson me
aapko chuune ko jii chahtaa hai

baat karne ko jii chahtaa hai
aapse milne ko jii chahtaa hai


to be continued....